i love urdu poetry | maimoona183's Blog
|
Yehi Wafaa ka silaah hai, to koi baat nahi Yeh dard tum ne diya hai, to koi baat nahi Yehi bohot hai ke tum dekhte ho sahil se Safeena doob raha hai, to koi baat nahi Rakha tha aashiyana-e-dil main chhupa ke tumko Woh ghar tumne chor diya hai to koi baat nahi Tum hi ne aayena-e-dil mera banaya tha Tum hi ne tod diya hai to koi baat nahi Kis kii majaal kahe koi mujh ko deewana Agar yeh tumne kaha hai to koi baat nahi Jo mosam beet jata hai dobara kyon nahin ata kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi to phir rastay mai hamary wo roshan sitara kyon nahin ata bohat heart hai ab bagon mein jab kalian chataktin hain hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakty hain tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata bhatakta phir raha hoon din ke is weran jangal mein mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata Kisi ke kam na aaye wo zindagi kya hai, Adab jisme na ho shamil wo bandagi kya hai ! Mahaj tarkon se dalilon sey bat banti nahi, Wazan jisme na shagufta wo bat hi kya hai ! Unche mahalon me guzar karte hai jehan roshan, WO kya samjhege muflishon ki muflishi kya hai ! Sukhe adhnange badan fakon ko majboor hai Jo, Gaor se socho jara e bhi zindagi kya hai ! Mauj masti ko honge dost hajaron lekin, Bure din me na aaye kam wo dosti kya hai ! Kare Jo darj apana nam nahi safahon me, Makam jiska martaba na wo hasti kya hai ! Aman aur chain shakun ka jaha na dera ho, ba Jo khusboo ban ke dil me bas gaya hai, Khuda jaane woh mujhse kyon khafa hai ! WO chehra gam se kumhlane na paye, Mere hoton pay ab bhi ye duaa hai ! Tabassum hai labon pe dil me nafarat, Yahi iss daur ka nakse wafa hai ! Judaa hokar bhi sabke sath Hun mai, Nahin maloom he kaisi saza hai ! Zamana chup hai aur bole hai “Zakhmi”, Yah uski bezubaani ka sila hai !! Jo bhi is dil pe guzarti hai wo sab janta hai, Koi jaane ke na jane mera rab janta hai ! Jaaney kab usko faqiron pe taras aajye, Kuchh milega e mera daste talab janta hai ! Hazaar bar usse tod ke aajaun mai rita, Magar wo hamko bulane ka hunar janta hai ! Mai usko bhul ke zinda rahunga kaise “Saqi”, WO meri sanso ki talab ki wajah janta hai ! Mera hasna use achha nahi lagta shayad, Warna wo meri udasi ka sabab janta hai !! Mushkilon ko karta Jo aasan hai, WO asal me hi to ek insan hai ! Gham se ghabara ke Jo himmat chhod de, Buzdili ki uski to pahchan hai ! Zindagi hai ek dariya dard ka, Dard se khele wahi insan hai ! Khushali me sab yaha jee lete hai, Ghum me jeena to alag ek shan hai ! Ham bana saktey hain khud takdeer ko, Gham ham hi me josh ka elan hai ! Kahte hain eh waqt hai ek dhup chhaon, Feer bhala kyon aadami hairan hai ! Khud ko Jo samjhe ki ham kamzor hain, WO bahut nadan hai anjan hai !! Kuchh adhuri khwahishon ka silsila hai zindagi, Manzilon se ek musalsal fasala hai zindagi ! Mere darwaze pe dastak de ke chhup Jane ka khel, Kab talak khelegi eh kya bachpana hai zindagi ! Tere afsane to mai sunta raha Hun baraha, Naam kya tune kabhi mera suna hai zindagi ! Zinda Hun doston ki duaaon ke bawajud, Roshan hai kitani tej hawaon is zindagi ! Apani tamam shokh adaaon ke bawajud, Bahla saki na jee mera eek pal bhi zindagi ! Bojhil hai rat chand sitaron ke bawajud, Suraj ke bawajud andhera hai zindagi ! Barbaad hamko hona tha barbad ham huye, Duniya hai sari nek salahon is zindagi ! Kaatil the jitane mere sabhi ho gaye bari, Aur chup khadi thi chasmdeed gawahon si zindagi ! Baton say bhee yeh gham kyon kam naheen hotey Aansuon sey dil k koney nam naheen hote Thee bahut umeed to apnon sey is dil ko kabhee Par hameshaa saath ye hamdam naheen hote Beba Band kamron men koyee mausam naheen hote Jab khushee hai naachtee gaatee hai man kee har kalee Un gharon men kyaa kabhee maatam naheen hote Pyaar sab miltaa jinhen ranjish naheen koyee kabhee Kyaa kabhee aise dilon men gham naheen hote Yaad to karte hain unko ham sadaa hee raat din Khwaab men unke kabhee kyaa ham naheen hote Labon ki sersarahat se badan k choor hony tak Main tujh ko is tarah chahoon K meri saans ruk jaye Khataon par khata’ain hon Na ho kuch baat kehne ko Main tujh main yoon sama jaoun K meri saans ruk jaye Na himmat tujh main ho baqi Na himmat mujh main ho baqi Magar itna qareeb aaoun K meri saans ruk Jaye Tere honton pe jab rakhoon Main apny hont kuch aise Ya teri pyaas bujh jaye YA MERI SAANS RUK JAYe Saarey waadon ko bhula sakta hun lekin rehne do... Main tumhein chor k ja sakta hun lekin rehne do.. Tum jo har morr pe keh daitey ho khuda hafiz faisla mein bhi suna sakti hun lekin rehne do.. Tum ne jo baat ki dil ko dukhaney wali us per main muskura b sakta hun lekin rehne do.. Sharam aaye gi tumhein warna tumharey waaday main tumhein yaad dila sakta hun, lekin rehne do.. My mood: pretty overwhelmed This Blog Entry's Comment Board There are no comments on this post yet, be the first to leave one!
Previous Posts Blogroll Here are some friends' blogs...
Help
|